lai phir ek laghzish-e-mastana tere shahr mein phir banengi masjiden mai-khana tere shahr mein aaj phir tutengi tere ghar ki nazuk khidkiyan aaj phir dekha gaya diwana tere shahr mein jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna kufr hai pathraw se ghabrana tere shahr mein shah-name likkhe hain khandaraat ki har int par har jagah hai dafn ek afsana tere shahr mein kuchh kanizen jo harim-e-naz mein hain baryab mangti hain jaan o dil nazrana tere shahr mein nangi sadkon par bhatak kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf virana tere shahr mein