muddaton baad hum kisi se mile

muddaton baad hum kisi se mile
yun laga jaise zindagi se mile

is tarah koi kyun kisi se mile
ajnabi jaise ajnabi se mile

sath rahna magar juda rahna
ye sabaq hum ko aap hi se mile

zikr kanton ki dushmani ka nahin
zakhm phulon ki dosti se mile

un ka milna bhi tha na milna sa
wo mile bhi to be-rukhi se mile

dil ne majbur kar diya hoga
jis se milna na tha usi se mile

un andheron ka kya gila 'makhmur'
wo andhere jo raushni se mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close