kahan pe bichhde the hum log kuchh pata mil jae tumhaari tarah agar koi dusra mil jae hazaron naqsh nihan honge us ke sine mein kabhi kabhi to ye aaina bolta mil jae jilau mein le ke chalen sare na-tamam se khwab na jaane kis jagah umr-e-gurez-pa mil jae na jaane kya kare imroz ka ye sannata hamare mazi ka ek lamha chikhta mil jae shikast-o-rekht ki duniya mein hun to khwahish hai khayal bikhra hua jism tutta mil jae main nazr kar dun use ye lahuluhan badan fareb-khurda aqidat ka qafila mil jae agarche hadd-e-nazar tak dhuan dhuan hai faza isi dayar mein mumkin hai phir 'saba' mil jae