yahan to shahr se diwar-o-dar hi ghaeb hain chhaton ke baad makanon ko le udi hai hawa tamam shahr tha sadkon pe aaj raat gae suna hai phir se jawanon ko le udi hai hawa safar hai raat ka sahra se wapsi kaisi tumhaare sare nishanon ko le udi hai hawa chalegi waqt ki aandhi to kis ko bakhshegi na jaane kitne zamanon ko le udi hai hawa raha na ab wo lab-e-ju raha na mai-khana hamare sare thikanon ko le udi hai hawa chalo wo wasl ka wada bhi kal-adam thahra tumhaare sare bahanon ko le udi hai hawa hawa ke dosh pe udte to hain parinde par nazar ke samne danon ko le udi hai hawa pade hain tir yahan ghaziyon ke tarkash mein andheri shab mein kamanon ko le udi hai hawa ghalat the sare wo mizan fareb takhmine hamare sare gumanon ko le udi hai hawa rakhe the kis ne wo auraq taqche pe 'ayaz' wo chahaton ke fasanon ko le udi hai hawa