kahan se bunte nae roz tane-bane hum naya naya ye zamana hai aur purane hum hamari aankhon pe ghalba hai nind ka ab bhi lage hue hain kai roz se thikane hum sabhi khade the wahan apni dastan liye jahan jahan gae qissa koi sunane hum chadha hua hai abhi hum pe hijraton ka nasha palat ke aaenge ek din kisi bahane hum hawa ke dar se jo apne paron mein simte hain unhin parindon ko aae hain ab udane hum bahut dinon se to apne hisar mein gum hai tujhe bhi aaenge is qaid se chhudane hum samajh mein kuchh nahin aata ki kya hua 'naushad' lage hain in dinon baaten bahut banane hum