main samjha tha zara sa mukhtalif hai magar wo achchha khasa mukhtalif hai mujhi se hi shikayat kis liye hai tera bhi to rawayya mukhtalif hai batana hi pada aakhir ye us ko jo hota hai wo lagta mukhtalif hai bichhadte waqt us ne ye kaha tha tera mujh se qabila mukhtalif hai kabhi aa mil ke dekhen aaine mein khulega hum mein kya kya mukhtalif hai mera tum se talluq mukhtalif tha magar logon ne samjha mukhtalif hai mera hona na hona hai barabar tera hona na hona mukhtalif hai jo logon ne bataya sab ghalat tha tera yaksar sarapa mukhtalif hai jo us ki chahaten hain aarzi hain magar mera irada mukhtalif hai 'saghir' us ki hain aankhen bhi ghazab ki aur us par ye ki hansta mukhtalif hai