koi nahin tha hunar-ashna tumhaare baad

koi nahin tha hunar-ashna tumhaare baad
main apne-ap se uljha raha tumhaare baad

ye meri aankhen badi tez raushni mein khulin
main chahta bhi to kya dekhta tumhaare baad

har ek baat hai uljhi hui zaban tale
har ek lafz koi bad-dua tumhaare baad

bade qarine se rishte sajae the sare
bikhar bikhar gaya har silsila tumhaare baad

to kya kashish bhi meri le gae tum apne sath
koi to dekhta chehra mera tumhaare baad

tumhaare baad khizan ho bahaar ho kuchh ho
kahan ruton se mera sabiqa tumhaare baad

bas ek lamha-e-hijran thahar gaya mujh mein
na waqia na koi saneha tumhaare baad

ye zindagi ka naya zawiya khula mujh par
main khud se kitna qarib aa gaya tumhaare baad

mere mizaj ki ye be-usuliyan chahen
tumhaare jaisa koi dusra tumhaare baad

wo rang rang-e-tabiat sukhan-sukhan 'hamid'
suno wo shakhs kahin kho gaya tumhaare baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close