kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai kaha man ki duaon mein badi tasir hoti hai kaho kya baat karti hai kabhi sahra ki khamoshi kaha us khamushi mein bhi to ek taqrir hoti hai kaha main ne ki ranj-e-be-makani kab satata hai kaha jab maqbare ya qasr ki tamir hoti hai kaha main ne hisar-e-zat mein ye nafs ki duniya jawab aaya ki sab kuchh haar kar taskhir hoti hai kaha ye khwahish-o-targhib aur ye khun ke rishte kaha zindaniyon ke panw mein zanjir hoti hai kaha wo jo sawali aankh ki putli pe likkhi thi kaha sab se moassir to wahi tahrir hoti hai kaha ahl-e-khirad 'anjum' tumhein be-kar kahte hain kaha sikke ki apne des mein tauqir hoti hai