kahan talash karun ab ufuq kahani ka nazar ke samne manzar hai be-karani ka nadi ke donon taraf sari kashtiyan gum thin bahut hi tez tha ab ke nasha rawani ka main kyun na dubte manzar ke sath dub hi jaun ye sham aur samundar udas pani ka parinde pahli udanon ke baad laut aae lapak utha koi ehsas raegani ka main dar raha hun hawa mein kahin bikhar hi jae ye phul phul sa lamha teri nishani ka wo hanste khelte ek lafz kah gaya 'bani' magar mere liye daftar khula maani ka