mere safar ki haden khatm ab kahan hongi ki manzilen bhi to aakhir rawan dawan hongi ye fasle jo abhi tai hue hain kahte hain ye qurbaten tere ehsas par giran hongi jo din ko rang lagen aur shab ko phul banen wo suraten kahin hongi magar kahan hongi wo hath ruth gae aur wo sath chhut gae kise khabar thi ki itni judaiyan hongi suna to tha magar is ramz ko samajhte na the ki teri khush-nigahi mein bhi talkhiyan hongi talash thi gohr-e-dard ki na jaante the ki bahr-e-dil mein wo gahraiyan kahan hongi wo aaj anjuman-e-am ban ke jagen hain wo khalwaten jo kabhi teri raaz-dan hongi hamare dam se hai raushan dayar-e-fikr-o-sukhan hamare baad ye galiyan dhuan dhuan hongi ye ahd wo hai ki meri wafa ke qisson mein teri jafa ki hikayat bhi bayan hongi chale chalo ki dayar-e-khirad ke us jaanib sukun ki chhanw mein khwabon ki bastiyan hongi tu rah-e-shauq mein tanha nahin thahar 'baqar' ki tere sath abhi jag-hansaiyan hongi