meri tanhai badhate hain chale jate hain hans talab pe aate hain chale jate hain is liye ab main kisi ko nahin jaane deta jo mujhe chhod ke jate hain chale jate hain meri aankhon se baha karti hai un ki khushbu raftagan khwab mein aate hain chale jate hain shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai aap aate hain rulate hain chale jate hain kab tumhein ishq pe majbur kiya hai hum ne hum to bas yaad dilate hain chale jate hain aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan aap to aag lagate hain chale jate hain hath patthar ko badhaun to sagan-e-duniya hairati ban ke dikhate hain chale jate hain