kisi charagh ki surat kisi dua ki tarah hamein aziz hai wo harf-e-muddaa ki tarah milen to kaise milen us se hum charagh-numa jo zo'm sar mein rakkhe sar-phiri hawa ki tarah kuchh aise log jinhen bolne ka shauq raha pade hain ghar mein wo ab ek be-sada ki tarah koi to ho jo mere habs se nikale mujhe koi to ho jo mujhe bhi lage saba ki tarah khuda hai ek ye 'iqrar' hai so ai duniya khuda ko hum nahin kahte kisi khuda ki tarah