kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai koi taswir dekhun tera chehra ho hi jati hai teri yaadon ki lahren gher leti hain ye dil mera zamin ghir kar samundar mein jazira ho hi jati hai gai shab chand jaisa jab chamakta hai khayal us ka tamanna meri ek chhota sa bachcha ho hi jati hai saja hai taj mere sar pe lekin ye nazar meri jo us ki samt jati hai to kasa ho hi jati hai jatan karta hun kitne rok lun sailab aankhon mein magar tamir meri ye shikasta ho hi jati hai ye socha hai ki tujh ko sochna ab chhod dunga main ye laghzish mujh se lekin be-irada ho hi jati hai jo hai 'fayyaz' us ko dekh kar mabhut hairat kya tadapti hai jo bijli aankh khira ho hi jati hai