laraz utha hai mere dil mein kyun na jaane diya tera payam to khamosh si hawa ne diya jala raha tha mujhe main ne bhi jalane diya ujala us ne diya bhi to kis bahane diya abhi kuchh aur thahar jata mere kahne par wo jaane wala tha khud hi so main ne jaane diya wo apni sair ke qisse mujhe sunata raha mujhe to haal-e-dil us ne kahan sunane diya main shukr us ka na kaise ada karun jaanan shuur mujh ko mohabbat ka jis khuda ne diya karam ke pal mein ye raushan hua ba-hamdillah nahin bujhega mera tujh se ai zamane diya 'shumar' samne us ke bhi guftugu ke waqt jo rang chehre pe aaya tha main ne aane diya