kahani mein chhota sa kirdar hai hamara magar ek mear hai khuda tujh ko sunne ki taufiq de meri khamushi mera izhaar hai ye kaise ilaqe mein hum aa base gharon se nikalte hi bazar hai siyasat ke chehre pe raunaq nahin ye aurat hamesha ki bimar hai haqiqat ka ek shaiba tak nahin tumhaari kahani mazedar hai talluq ki tajhiz-o-takfin kar wo daman chhudane ko tayyar hai padosi padosi se hai be-khabar magar sab ke hathon mein akhbar hai ye chhutti ka din hum se mat chhinna yahi hum gharibon ka tyauhaar hai use mashwaron ki zarurat nahin wo tum se ziyaada samajhdar hai