kya gila is ka jo mera dil gaya mil gae tum mujh ko sab kuchh mil gaya jis ko aankhen dhundhti thin pa gain dil ko jis ki justuju thi mil gaya is gul-e-rana ne hans kar baat ki ghuncha-e-khatir hamara khil gaya chhod kar tu us ko ghairon se mila khak mein jo teri khatir mil gaya ban gai har mauj ek mauj-e-sarab tishna-lab jab main lab-e-sahil gaya arz-e-haal-e-chaak-e-dil kyunkar karun samne un ke gaya munh sil gaya ghair hi kya be-rukhi se aap ki aaj 'bedam' bhi bahut be-dil gaya