kahte hain teri lash pe aaya na jaega to un se khak mein bhi milaya na jaega rahmat pe tujh ko naz hai isyan pe mujh ko naz sar tere samne to jhukaya na jaega nazron se girne wale ko kafi hai ek nazar kuchh naqsh-e-pa nahin ki uthaya na jaega taklif kar tabassum-e-pinhan se puchh le zakhm-e-nihan ko mujh se dikhaya na jaega mitta hai koi hasti-e-mauhum ka khayal wo parda pad gaya ki uthaya na jaega waraftagi-e-shauq mein lazzat yahi hai gar 'bekhud' se apne aap mein aaya na jaega