tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi dil na mana warna duniya dekhne ki chiz thi kya khabar mere junun ko shahr kyun ras aa gaya aise aalam mein to sahra dekhne ki chiz thi tum ko ai aankho kahan rakhta main kunj-e-khwab mein husn tha aur husn tanha dekhne ki chiz thi lams ki lau mein pighalta hujra-e-zat-o-sifat tum bhi hote to andhera dekhne ki chiz thi aa gaya mere makan tak aur aa kar rah gaya barishon ke baad dariya dekhne ki chiz thi dhup kahti hi rahi main dhup hun main dhup hun apne sae par bharosa dekhne ki chiz thi sham ke sae mein jaise ped ka saya mile mere mitne ka tamasha dekhne ki chiz thi