kahin gireban koi chaak hone wala hai

kahin gireban koi chaak hone wala hai
ye hadsa sar-e-aflak hone wala hai

pahunch raha hun kisi bhed ke bahut nazdik
ki jaise apna hi idrak hone wala hai

utarne wali hai ab os din ke jaane par
andhera sham ka namnak hone wala hai

hai sard itna makan ab ki bar jade mein
badan bhi aag ka khashak hone wala hai

kuchh aa raha hai asar mai ka us ki baaton mein
ye lag raha hai wo be-bak hone wala hai

ba-ghaur dekh raha hun main us ka tarz-e-amal
wo kar-e-ishq mein chaalak hone wala hai

main aap apni kharabi ka hun sabab 'shahin'
jo khud banaya tha ab khak hone wala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close