tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa mere yaqin mein gasht kar meri hadd-e-guman mein aa nindon mein daudta hua teri taraf nikal gaya tu bhi to ek din kabhi mere hisar-e-jaan mein aa ek shab hamare sath bhi khanjar ki nok par kabhi larzida chashm-e-nam mein chal jalte hue makan mein aa narghe mein doston ke tu kab tak rahega surkh-ru neza-ba-neza du-ba-du-saf-ha-e-dushmanan mein aa ek roz fikr-e-ab-o-nan tujh ko bhi ho jaan-e-jahan qaus-e-abad ko tod kar is arsa-e-ziyan mein aa