kahin husn ka taqaza kahin waqt ke ishaare na bacha sakenge daman gham-e-zindagi ke mare shab-e-gham ki tirgi mein meri aah ke sharare kabhi ban gae hain aansu kabhi ban gae hain tare na khalish rahi wo mujh mein na kashish rahi wo mujh mein jise zoam-e-ashiqi ho wahi ab tujhe pukare jinhen ho saka na hasil kabhi kaif-e-qurb-e-manzil wahi do-qadam hain mujh ko teri justuju se pyare main 'shakil' un ka ho kar bhi na pa saka hun un ko meri tarah zindagi mein koi jit kar na haare