rukh pe yun jhum kar wo lat jae khizr dekhe to umr kat jae us nazare se kya bache koi jo nigahon se khud lipat jae ye bhi andher hum ne dekha hai raat ek zulf mein simat jae jaane tujh se udhar bhi kya kuchh hai kash tu samne se hat jae maut ne khel hum ko jaana hai kabhi aae kabhi palat jae dubne tak mein na-umid nahin kab na jaane hawa palat jae raat guzre na dard-e-dil thahre kuchh to badh jae kuchh to ghat jae un se kah kar bhi dekh len gham-e-dil 'saif' ye kaam bhi nipat jae