rukh hawa ka ye ki jaise us ko aasani pade dil ki aag aisi ki hum ko roz sulgani pade nur ho andar to bahar mat kyun khani pade wo tajalli kya miyan jo tur se lani pade zindagi ki qadr tab tum par khulegi dosto us ke kuche se jab ek ek sans mangwani pade ek to mushkil ko jhelun aur upar se ye hai apni mushkil roz us ko ja ke samjhani pade khud wo milne aae to hael rahe ye be-khudi main jo milne jaun to raste mein hairani pade pad gaya jab tu hi in-o-an ki uljhan mein 'shujaa' lakh phir sajde mein shab bhar teri peshani pade