us ki chashm-e-karam thi hayat-afrin khushk patton pe jaise nikhaar aa gaya aarzu ke shagufe mahakne lage dil ki be-chainiyon ko qarar aa gaya dasht-e-ghurbat mein bhi zanu-e-dost par meri tanhai ko ye tassur hua bhula-bhatka hua ek musafir koi yak-ba-yak jaise apne dayar aa gaya umr-bhar fikr-e-duniya mein ghaltan rahe mare mare phire muft ruswa hue zindagi dafatan zindagi ban gai chaar aankhen huin dil mein pyar aa gaya bankpan un ka mashhur tha meri diwangi par hamesha hanse lekin aankhon se aansu chhalakne lage samne jab hamara mazar aa gaya jaanta hun kudurat buri chiz hai aap se dushmani ki tawaqqo na thi dur hona bahut is ka dushwar hai dil ke aaine mein jab ghubar aa gaya zakhm bharne lage dard tham sa gaya ek sahaara mila dil ko dhaaras bandhi us ke qaul-o-qasam mein bhi ek baat thi jo bhi us ne kaha e'tibar aa gaya