main raaz-e-gham-e-ishq se begana nahin hun diwana mujhe kahte hain diwana nahin hun aisa hun piyala jo mohabbat se hai labrez bhar kar jo chhalak jae wo paimana nahin hun wo soz-e-mohabbat hun jo pinhan rahe dil mein aa jae jo lab par main wo afsana nahin hun main aarzu-e-did mein ghulta hun shab-o-roz jo shama pe jal jae wo parwana nahin hun ab jada-e-ulfat mein junun rah-numa hai gum-gashta-e-manzil ho wo farzana nahin hun pur-kaif mai-e-ishq se paimana-e-dil hai sad-shukr ki ab tishna-e-khum-khana nahin hun dagh-e-dil-e-majruh hai ham-rang-e-gulistan jalwon ka khazana hun main virana nahin hun khud qalb mera jalwa-gah-e-husn-e-azal hai ai 'zabt' main joya-e-sanam-khana nahin hun