kaun kahta hai ke har shakhs farishta ho jae aadmi thoda to insan ke jaisa ho jae kitna masum nazar aata tha bachpan mein mere aaine mein mera phir se wahi chehra ho jae phir bala koi mere pas se guzre kaise jab dua man ki mere sar ka dupatta ho jae aandhiyon ko ye guman hai ki bujha dengi charagh aur charaghon ko ye zid hai ki ujala ho jae tut sakta hai kisi pal bhi samundar ka ghurur munh agar mod len dariya to ye pyasa ho jae jodna aata hai tute hue shishon ko mujhe bas jo baal aae dua ye hai ki dhundla ho jae bad-dua kab thi magar han mujhe aaya tha khayal ishq jis se hai use wo bhi kisi ka ho jae