kahin ruswa tera shaida sar-e-mahfil na ho jae pareshani junun-e-ishq ka hasil na ho jae abhi kuchh thokaren khani hain tufan-e-hawadis mein kahin kashti meri sharminda-e-sahil na ho jae bikharte hain tere shanon pe gesu aaj bal kha kar kahin barham ye meri kaenat-e-dil na ho jae tapakti hain khiram-e-naz se ranginiyan sau sau mujhe dar hai ki ye duniya simat kar dil na ho jae qarar-e-iztirab-e-jaan-o-dil 'nayyar' usi se hai pare gardan se meri khanjar-e-qatil na ho jae