lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun teri aankhon mein to bas apna hi chehra chahun ye bhi kya baat ki main teri ana ki khatir teri qamat se ziyaada tera saya chahun mujh se ulfat bhi nahin hai to na jaane phir kyun teri mahfil mein faqat apna hi charcha chahun wo to gunga hai magar mujh ko ye zid hai kaisi apni tarif mein kuchh us se bhi sunna chahun sath dene se hue jate hain qasir alfaz jaane kya kya main teri shan mein likhna chahun main to ek aisa musafir hun jo thakta hi nahin apni manzil se bhi aage koi jada chahun dil se baadal kabhi uthte hi nahin hain 'akhtar' kis liye aankhon se bahta hua dariya chahun