kuchh aise log bhi duniya mein pae jate hain jahan bhi jaen diye wo jalae jate hain ye aazmaishen yun hi ata nahin hotin jo log khas hon wo aazmae jate hain hamein husain se paighambaron se nisbat hai hum is liye bhi bahut dil dukhae jate hain wo shakhs surat-e-khurshid jab nikalta hai to rang-o-nur mein hum bhi nahae jate hain use bhi pyar hai un se jo dil-shikasta hon so us ki bazm mein hum bhi bulae jate hain main apne dil se pareshan hun kidhar jaun jo bewafa the use yaad aae jate hain to kul mila ke mujhe baat ye samajh aai jo nek log hon aksar satae jate hain dua salam na hadd-e-adab na ijz-o-khulus ye mere shahr mein ab kaun aae jate hain ajib log hain shair bhi ye khuda jaane koi sune na sune ye sunae jate hain mera yaqin hai ye khamushi ye gahra sukut ye log khud nahin aate ye lae jate hain