kahin sahra mein jo dariya dekhen hum bhi aaine mein chehra dekhen hum mohabbat ke liye khak udaen log galiyon mein tamasha dekhen sabr aa jae agar apna ye haal jin ki khatir hai wo tanha dekhen band aankhon mein badi wusat hai band aankhon hi se duniya dekhen ghar hai mausam se bachana mushkil jaanib-e-abr-o-hawa kya dekhen itni diwar-e-gulistan na badhao ki bayaban mera rasta dekhen ab yahi shakl-e-tamanna hai ki hum umr bhar khwab-e-tamanna dekhen hum bashar hain na ki sahra ke shajar jo sada apna hi saya dekhen