man bhi shair ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai ye tere rup ka darpan bhi ghazal jaisa hai reshmi chudiyan aisi ki ghazal ke misre ye khanakta hua kangan bhi ghazal jaisa hai in lachakti hui zulfon mein hai gokul ka saman ye mahakta hua sawan bhi ghazal jaisa hai log-giton ki tarah tu bhi rasili hai magar meri sajni tera sajan bhi ghazal jaisa hai mere jazbaat ki shokhi bhi ghazal jaisi hai mere ehsas ka bachpan bhi ghazal jaisa hai dekh kar tujh ko ghazal kaise na likkhe 'qaisar' tu ghazal jaisi hai yauwan bhi ghazal jaisa hai