kahin se saz-e-shikasta ki phir sada aai bahut dinon mein ek aawaz aashna aai chali kuchh aaj is andaz se nasim-e-sahar ki bar bar kisi ki sada-e-pa aai tumhaari talat-e-zeba ko kar liya sajda nazar jahan bhi koi shakl-e-dilruba aai ajib lutf hua un ki yaad se mahsus ki jaise dil ke dariche khule hawa aai rah-e-hayat mein kante bikherne wale! hayat bhi tere dar tak barhana-pa aai chaman se pahle to ek sail-e-atishin guzra phir us ke baad barasti hui ghata aai shuru-e-ishq mein un se hi kuchh hijab na tha kabhi kabhi to khud apne se bhi haya aai hum apne haal-e-pareshan pe barha roe aur us ke baad hansi hum ko barha aai kabhi qarib se chheda jo saz-e-jaan ko 'rais' to gosh-e-dil mein bahut dur ki sada aai