kahin sharminda na ho rasm-e-wafa mere baad mere mazi ko na do meri saza mere baad aisa lagta hai ki sab khun ke pyase hain yahan hae is shahr ka kya haal hua mere baad tishna-lab aur bhi aaenge yahan meri tarah kaun dega unhen jine ki dua mere baad mujh pe hi khatm hua qahr zamane-bhar ka phir kisi aur ka daman na jala mere baad ek hi shab mein bane log masiha kitne shahr mein phir koi qatil na raha mere baad ab to apnon mein bhi agli si sharafat na rahi rishta-e-mehr-o-wafa tut gaya mere baad ghaaliban main hi yahan lala-e-sahra tha 'rais' phir na sahra mein koi phul khila mere baad