kahin shoala kahin KHakistar-e-taza nazar aaya

kahin shoala kahin khakistar-e-taza nazar aaya
wahan main tha jahan phulon ka darwaza nazar aaya

bahakti hain hawaen phul be-mausam bhi khilte hain
jahan-e-ab-o-gil hum ko ba-andaza nazar aaya

hawa ki zahr-naki abr-e-na-rafta ki saffaki
mujhe aksar wida-e-gul ka khamyaza nazar aaya

udasi thi ki tha ek jalwa-e-sad-rang-o-bu shayad
dil-e-be-rang bhi rangon ka shiraaza nazar aaya

shajar ka aks tha aab-e-rawan tha aur main bhi tha
samar shakh-e-burida ka tar-o-taza nazar aaya

zaban ka husn bhi hamwar-o-na-hamwar hota hai
kahin fitrat nazar aai kahin ghaza nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close