katra ke gulsitan se jo su-e-qafas chale aisi koi hawa bhi to ab ke baras chale aadab-e-qafila bhi hain zanjir-e-pa-e-shauq ye kya safar asir-e-sada-e-jaras chale mana hawa-e-gul se the be-ikhtiyar hum phir bhi bacha ke rah ka har khar-o-khas chale pamal ho ke rah gae jashn-e-bahaar mein ye fikr thi chaman pe khizan ka na bas chale ai chashma-e-hayat na di tu ne bund bhi hum tishna-kaam abr ki surat baras chale subhen bhi aa ke zahr rag-e-jaan mein bhar na den hijran-e-yar tere andhere to das chale un ki ye zid wo dekhen gada-e-rafu hamein hum ko ye fikr un ke gareban pe bas chale tha pas-e-abru-e-tamanna hamein 'wahid' chun kar gul-e-murad sab ahl-e-hawas chale