kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke baad ki be-qarar rahi zindagi qarar ke baad uthe na panw mohabbat ki rahguzar ke baad koi qayam nahin hai tere dayar ke baad qabaen chaak to karte rahenge diwane kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad sharab-e-ishq ka mai-kash raha sada madhosh teri nigah ki masti chadhi khumar ke baad nigah-e-shauq ne donon jahan ko chhan liya mila na rang koi jalwa-gah-e-yar ke baad talab hai us ki to ho jao qatl-e-ishq 'fana' mili hain azmaten mansur ko bhi dar ke baad