surur se ate hue ai mausam-e-visal ruk mile darida-qalb ko sukun-e-indimal ruk ai hairat-e-gulab-rukh tu itna la-jawab hai ki kah uthe sawal se hamare lab sawal ruk tujhe gila hai ab wo lazzaten rahin na qurbaten main dalta hun raqs-e-ishq mein abhi dhamal ruk na ras aaega koi na dil ko bhaega koi hamare bin dasega tujh ko umr-bhar malal ruk padega ran aziyyaton ka samt-e-shahr-e-hijr roz udhar na ja thahar zara tu dekh mera haal ruk main tere hasb-e-iddaa nahin hun wo jo tha kabhi wo tha bhi laut aaega ai mere ham-khayal ruk ghazal-taraaziyan meri nigah-e-naz se teri ye kar rahi hain iltija na ja mere ghazal ruk hawas kho chuke hain sab hua 'nadim' jaan-balab tu ab na mere samne aa hasil-e-jamal ruk