mere dil mein ghar bhi banata rahta hai aur dil par nashtar bhi chalata rahta hai dushman ki baaton mein aa kar bhai mera sab se jaane kya kya kahta rahta hai deta hai paigham-e-mohabbat duniya ko khud nafrat ki aag lagata rahta hai bhai mera jo paikar tha hamdardi ka rah mein meri khar bichhata rahta hai gum-sum us ki yaad mein rahta hai aksar aankhon se wo ashk bahata rahta hai wo to khud ek pyasa hai shahid 'ghazi' phir bhi sab ki pyas bujhata rahta hai