katte hi dor sans ki nam-o-numud khak hona hai ek roz ye qasr-e-wajud khak tuta kisi ka dil jo gira dusri taraf mizan mein pada tera rakht-e-sujud khak tajsim kar raha hai wo dast-e-kamal se aatish-parast dahriye muslim hunud khak is mahfil-e-tarab mein nahin chashni koi dil mein ramaq na ho agar bazm-e-surud khak badhne lage hain chaar-su rasmon ke daere thokar laga ke panw ki kar dun quyud khak ye qaum un hi raston pe chal padi hai phir jin par huin thin ek din aad-o-samud khak sine mein koi aag hai 'arshad' lagi hui warna hamari aankh se uthta ye dud khak