kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho khuda kare use ye tajraba hua hi na ho supurdagi mera mear to nahin lekin main sochta hun tere rup mein khuda hi na ho main tujh ko pa ke bhi kis shakhs ki talash mein hun mere khayal mein koi tere siwa hi na ho wo uzr kar ki mere dil ko bhi yaqin aae wo git ga ki jo main ne kabhi suna hi na ho wo baat kar jise phaila ke main ghazal kah lun sunaun sher jo main ne abhi likha hi na ho sahar ko dil ki taraf ye dhuan sa kaisa hai kahin ye mera diya raat-bhar jala hi na ho ho kaise jabr-e-mashiyat ko is dua ka lihaz jo ek bar mile phir kabhi juda hi na ho ye abr-o-kisht ki duniya mein kaise mumkin hai ki umr-bhar ki wafa ka koi sila hi na ho meri nigah mein wo ped bhi hai bad-kirdar lada hua ho jo phal se magar jhuka hi na ho jo dasht dasht se phulon ki bhik mangta tha kahin wo tod ke kashkol mar gaya hi na ho tulu-e-subh ne chamka diye hain abr ke chaak 'nadim' ye mera daman-e-muddaa hi na ho