kuchh zabt kiya hai to kabhi dil mein Thani hai

kuchh zabt kiya hai to kabhi dil mein thani hai
mardan-e-sitam-pesha se kab baat bani hai

kuchh kahne pe aa jaun to kya kah nahin sakta
had-darja pur-asrar meri kam-sukhani hai

achchha hai na khatir mein mujhe lae zamana
kirdar-shikan main hun na khush-pairahani hai

mumkin nahin duniya mein har ek qalb ki taskhir
logon ki nigahon mein ye khatir-shikani hai

tum meri pareshan-khayali pe na jao
har chand pur-afgar sahi dil to ghani hai

aasar nazar aate hain wahshat-zadagi ke
kahne ko ye aabaadi ba-tadrij ghani hai

hun khugar-e-idrak qadam kis se milaun
'hamid' mere hisse mein faqat saf-shikani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close