phul KHushbu ya hawa hai fikr ki dahliz par

phul khushbu ya hawa hai fikr ki dahliz par
kaun dastak de raha hai fikr ki dahliz par

kashtiyan maujon se lad kar par kab ki ho gain
nakhuda ab tak khada hai fikr ki dahliz par

aaj phir mazi ki dhun par raqs hoga bazm mein
aaj phir se ratjaga hai fikr ki dahliz par

tum ne mujh ko ishq mein ek din masiha kya kaha
dard ka jamghat laga hai fikr ki dahliz par

lafz-o-mani ke parindo shor itna mat karo
ek aansu so raha hai fikr ki dahliz par

ho rahi hai ruh tak ek raushni tahlil si
kya kisi ka dil jala hai fikr ki dahliz par

shart thi har ek lab par mohr-e-khamoshi to phir
hashr sa kyunkar bapa hai fikr ki dahliz par

chand tare kahkashan raushan falak jugnu charagh
shams bhi aakar pada hai fikr ki dahliz par

ishq mein aisa bhi main ne waqt dekha hai 'shikha'
zakhm khud marham hua hai fikr ki dahliz par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close