kahna tere munh par to nipat be-adabi hai zahid jo sifat tujh mein hai sozan-e-jalbi hai is dasht mein ai sail sambhal hi ke qadam rakh har samt ko yan dafn mari tishna-labi hai har ek se kaha nind mein par koi na samjha shayad ki mere haal ka qissa arabi hai uzlat se nikal shaikh ki tere liye tayar koi haft-gazi mekh koi dah-wajabi hai ai charkh na tu roz-e-siyah 'mir' pe lana bechaara wo ek nara-zan nim-shabi hai