tham gai waqt ki raftar tere kuche mein aise sabit hua sayyar tere kuche mein manzar-e-baam sar-e-did nahin khulta hai kuchh hai na-dida ka asrar tere kuche mein har talabgar ko hai hasil-e-guftar-e-sukut na hai inkar na iqrar tere kuche mein aaina sham ka raushan rukh-e-mahtab se kar aks chamke to ho didar tere kuche mein waslat-e-kar baham ho ki hain jama din raat pesha-e-hijr ke be car tere kuche mein nafa ke khel mein samjha gaya tha taq jise wo khasare mein hai hoshyar tere kuche mein aakhir-e-umr ne ki raunaq-e-bazar tamam na dukan hai na kharidar tere kuche mein ek muddat se hai tartib mein be-tartibi na durusti ke hain aasar tere kuche mein