kar-e-hunar sanwarne walon mein aaega jab bhi hamara nam hawalon mein aaega tilon ko sath le ke jo udti rahi hawa sahra ka rang barf ke galon mein aaega jab aaftab-e-umr ki dhalne lagegi dhup tab raushni ka fan mere baalon mein aaega kaisa firaq kaisi judai kahan ka hijr wo jaega agar to khayalon mein aaega insan se pyar husn-parasti watan se ishq hum ne kiya hai yun ki misalon mein aaega 'anjum'-khaliq ek nae anjum ko dekhna jis din wo aagahi ke ujalon mein aaega