kahta hai mera azm ki do-gam chala hun aur panw ye kahte hain ki sadiyon ka thaka hun manzil ka bharam mujh pe ayan ho gaya yaro behtar hai palat jaun jahan se main chala hun dastur-e-zamana mujhe apnaega kyun kar main sar se utari hui bewa ki rida hun sar dhup mein duniya ki chhupana nahin aasan main qad mein har ek jism ke sae se bada hun sau bar mera khun bahaya gaya nahaq sau bar main ehsas ki suli pe chadha hun ek umr mere dil ko ye gham yaad rahega be-jurm tere shahar ke zindan mein raha hun jis ghar ki bulandi pe mujhe naz tha 'kazim' main aaj usi ghar ki bulandi se gira hun