kham hai meri mohabbat warna ye aalam na ho wo khalish bhi kya khalish hai dil mein jo paiham na ho raaz-e-sar-basta na khul jae hansi ke baad bhi un ki mahfil mein koi fitrat-shanas-e-gham na ho de sake ab tak na dastur-e-wafa tartib tum kya ruke diwar jab buniyaad mustahkam na ho jate jate bazm-e-ahl-e-gham pe ho ye bhi karam aap is andaz se uthen ki ye barham na ho kaun khoe zarf apna warna ai pir-e-mughan mere saghar mein bhi mai zauq-e-talab se kam na ho jab bhi aae zakhm-e-dil ko aur taza kar gae aise gham-khwaron se behtar hai koi hamdam na ho is guman ko bhi nazar-andaz kar sakte nahin muntaha-e-irtiqa barbaadi-e-alam na ho