kahte hain log yar ka abru phaDak gaya

kahte hain log yar ka abru phadak gaya
tegha sa kuchh nazar mein hamari sadak gaya

main kya karun ada-e-ghazab-nak ka bayan
bijli sa mere samne aa kar kadak gaya

nale se mere gul to hua chaak pairahan
bulbul tera jigar na ye sun kar tadak gaya

koi gaya na khauf se qatil ke samne
main hi tha us ke ru-ba-ru jo be-dhadak gaya

mushkil padega phir to bujhana jahan ka
jo tuk ziyaada ishq ka shoala bhadak gaya

'sauda' chura chuka hi tha gulshan mein gul ko main
qismat ko apni kya kahun patta khadak gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close