wahan khule bhi to kyunkar bisat-e-hikmat-o-fan mile har ek jabin par jahan shikan hi shikan hamari khak kabhi raegan na jaegi hamari khak ko pahchanti hai khak-e-watan khizan ki raat mein kumhla ke phul girte hain to jag jati hai soi hui zamin-e-chaman bahut hai raat andheri magar chale hi chalo ki aap apne musafir ko dhund legi kiran khile hain phul magar dil kahan khile hain 'shamim' abhi chaman se bahut dur hai bahaar-e-chaman