shahr ka rog hai jis samt bhi bas jaega tu khule sahraon ki aawaz ko das jaega tu jab bhi yaadon ki zamistani hawa chikhegi apne barfile makanon mein jhulas jaega tu sokhta sham ki mahmil hun main jata hai kahan sath mere hi ba-andaz-e-jaras jaega tu aaj main apne taaqub mein nikal jaunga kal mere naqsh-e-kaf-e-pa ko taras jaega tu dekh wo dasht ki diwar hai sab ka maqtal is baras jaunga main agle baras jaega tu main bujhi mahfilon ki ashtray ki ek pyas rakh ban kar mere honton pe baras jaega tu is qadar rasm-o-rah-e-jism 'musawwir' na badha apne hi jism ko ek roz taras jaega tu